waqt ke taraju main baitha hai insaan
harek girte ansu main behta hai insaan
meri haisiyat zamane main kya hai
zindagi ki shahadat manata hai insaan
ruswa hai ab mera dil is jahan se
rishta nahi ab raha is jahan se
apne paraye lagte hain putle
ye hai mera alwida is jahan se
fakeeron ki basti main panahat mili hai
ameeron ki hasti se fursat mili hai
jhoote nakabon ke jahan main tha zinda
farishton ke angan main jannat mili hai
yahan par hi hai mere jeene ka maksad
jahan bhar ke shikwe bhulane ka maksad
bas ek saans bhar ke le lu sukun ki
baharon main barbaad hona hai maksad
1 comment:
abbe.. duddapa.. :) ur all blogs r good..
Post a Comment